Ummeed hai!
Mahino phle ye musibat kuch is tarah aayi, Buri thi aur hai, magar kya accha sath laayi? Jo saalon se apno se door tha, Usko apne aur gharwalo ke kareeb laayi. Ye daur me bahut kuch ho gya, Koi apna bichda, to kisiko farishta mil gya. Haiwaniyat walo ko to jane do ab, Khushi hai, Insaan ko insaan mil gya. Majbur aur majdur dono jhel rhe, Kon aisa khatarnak khel khel rhe? Ye to maalum tha, Magar ab sabke asli rang dikh rhe. Ye kissa rhega ya kahani? Ye to waqt hi btayga. Ab thoda sambhal ja jara, wrna waqt hi satayega. Sadiyon se chala aa rha hai ye, Mauka jaane ke baad hi to tu pachtayga. Waqt rhte samjhdari se sambhal paate, To ab bina darr ke ghar se bahar nikl jaate, Galti kiski thi, kisko kosu? Ab bhi jo nhi samjh rha, usko kaise roku? Ab jo ho gya usko bhulne do, Kaash, agar, magar ko jaane do, Ab bas socho aage kya hoga? Umeed hai aur bhrosa bhi, Bas, ab to sab theek hoga!!